Kash tum vaise hote, jaisa main tumhe chahta hun, mere khayal ke halke halke najuk se phaye, udte hue tumhare paas se hokar gujar jahte hain, tum kabhi unhe thamte kyon nahien, kyo main tumhe sapno mien hi apna pata hun, shayad ye kadam un sapno ke aasre mien hi sukoon pate hain, Aankh khulte hi manjar aur tumhara chehera dono badal jate hain, main khud se khud ko bas do mutthi hi juta paya, aur maine vo us dariya mien dal diya, jo na jane kahan se kal kal beheta hua,meri ummeed ki gali a gaya, vo "main" ret ke jaisa kuch der to us dariya mien baha, phir na jane kahan geheri teh mien baith gaya, kaam kaaz se door jab khud ke paas hota hun, tab ye dil aksar tumhe yaad karta hai, aur na jane kitne sawal karta hai, vo rahe tumhe aksar yaad karti hain, jahan se tum anjane mien mera daman tham ke gujar gaye the, kabhi mudker dekhte to shayad un nigahon ko pehechan lete, un rahon ke seene mien, un kadmon ki Aahat aj bhi darj hai, aur uski goonj aj bhi aksar mere khayalon mien meri ...
संदेश
मई 10, 2009 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं