Lambi hain Rahen thokar kai hai,
Uth-Uth ke chalte hain,
Gir ke sambhalte hain,
Arman bhi dekho kaise machalte hain,
jal-jal ke bujhte hain,
bujh-bujh ke jalte hain,
Andheri rahon mien,
Jugnu se palte hain,
kitni Kitaben.
kitni Kahani,
keh di kahani,
sun li kahani,
Pyasi si Aankhen,
Aankho mien pani,
kitni hi baton ko sun-sun ke chalte hai,
Ghar-Ghar ke apne Mausam alag hain,
Hatho mien Khwaish,
Dil mein Talab hai,
kitna bhatakte hain,
kitna matakte hain,
Aankhen khuli hain Andhon se chalte hain,
Sobho ko ugte hain,
Shamon ko dhalte hain,
Patthar ke Mathe jinper shikan hai,
pheeki si cheezon ki kitni lagan hai,
Apni hi dhun hai, dhun mien magan hain,
suljhi si baton mien kitna ulajhte hain,
Jitni Ameeri,
utne Bhikhari,
iski sameti,
uski utari,
thodi hamari,
thodi tumhari,
Ghar ki munderon par,
Parde latakte hain.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

'वोः तेरा है'

'जर्द आँखें'

Safety Of Women In India