Patthar ke Saye




Vo Saaye Patther ke the daraaron se Dhoop chalakti thi,

Jhulsi hui si chaon mien, ek Chidiya bilakti thi,

Adhoore se Mausam the Wahan, Unki baten bhi jhooti thin,

Kabhi Tezaab si barish, to kabhi Chilakti Dhoop mien,

us ghar ki chaten tooti thin,

Us Dar ki haalat Zar thi, vo Chaukht sulagti thi,

Jhulsi hui si chaon mien ek chidiya bilakti thi,

Us Waqt ki Choli se thamta nahien Khushiyon ka Daaman,

Ek paon bhi na a sake, chota sa Aagan,

Thin Siskiyan theheri si, har Aah palat-ti thi,

Jhulsi hui si chaon mien ek chidiya bilakti thi,

Saahil hi jaise simat ke Kadmon pe aa pada,

Do Boond Pani bhi nahien, Sookha Ghada,

Icchayen jaise Barf hon, Jam ke pighalti thin,

Jhulsi hui si chaon mien ek chidiya bilakti thi.

टिप्पणियाँ

Gaurav Singh ने कहा…
Few words for those Kids who coming from poverty stricken areas.

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

'वोः तेरा है'

'जर्द आँखें'

Safety Of Women In India