संदेश

मई 2, 2009 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Main Aadmi hun

Kitna thaka hara, bebas sa bechara, main Aadmi hun, In gaadiyon ke shor mien, is hoonk dete joor ne, behera bana dala, main Aadmi hun, karmon ki jodam jod mien, veheshi bani is hod mien, daman hua kala, main Aadmi hun, age nikalti tool ne, kadmon se uthti dhool ne, huliya badal dala, main aadmi hun .

Ek Din

Ek din chalo yun hi, kahien jana na ho, kitne quadam koi thikana na ho, Barish ki boondon ki fuhaar, tumhara sath, aur pyar ki ek dheemi si ankahee si baat, gili ghas ko pairon ki ungaliyon se masalte hue, is fikra mien ki ye mausam bhi na guzar jaye badalte hue, hawa sard ho, main tum mien simat jaun, tum sath ho to aur kahan jaun, kyo na dil ki ye muraad bhi nikhar jaye, unki bahon mien jindagi basar jaye, suno hawa mera itna kaam to kar do, unki khushboo se meri sanse bhar do, aye ghataon mujhe jee bhar ke pal de do, ek aisa hi kal de do .